uTha ḳhema yahan se kuuch kar ahista ahista
abhi to ḳhair mumkin hai safar ahista ahista
darichon ki abhi to raushni galiyon men baaqi hai
magar jab band ho ja.enge dar ahista ahista
bayabanon se nikle aur samundar tak chale aa.e
ki ab karna hai paani ka safar ahista ahista
idhar se qais hi kya ek puuri qaum guzri hai
ye baiThega ghubar-e-rah-guzar ahista ahista
yahan ik dusre ki jaan ke dushman na ho jaa.en
ye ham donon nikal aa.e kidhar ahista ahista
abhi kuchh bastiyan abad hain kuchh shahr baaqi hain
abhi kuchh aur niklenge khanDar ahista ahista
dar-o-divar ke us paar ham-sayon ko niind aa.i
shab-e-tanha.i mujh se baat kar ahista ahista
abhi be-tegh bhi zinda huun lekin mere hathon se
‘sana’ ab chhuT ja.egi sipar ahista ahista
Leave a Reply