us zulf ki tausif bata.i nahin jaati
ik lambi kahani hai suna.i nahin jaati
dil hai ki mara jaata hai didar ki ḳhatir
ham hain ki udhar aankh uTha.i nahin jaati
ashkon se kabhi soz-e-jigar kam nahin hota
ye aag to paani se bujha.i nahin jaati
dil ye to tira dagh-e-muhabbat na chhupega
a.ine se tasvir chhupa.i nahin jaati
yarab kahan le ja.un main hasrat-zada dil ko
ye laash to ab mujh se uTha.i nahin jaati
aahon se kami gham men na hogi dil-e-nadan
phunkon se kabhi aag bujha.i nahin jaati
kyuun ashk-e-nadamat na baha.en ‘jigar’ ankhen
jo dil men lagi hai vo bujha.i nahin jaati
Leave a Reply