• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Us Se Phir Kya Gila Kare Koi

Us Se Phir Kya Gila Kare Koi

poet

us se phir kya gila kare koi

jo kahe sun ke kya kare koi

ham bhi kya kya kahen khuda jaane

gar hamari suna kare koi

haae vo baten pyaar ki shab-e-vasl

bhule kya yaad kya kare koi

log kyuun puchhte hain haal mira

zikr kis baat ka kare koi

dard-e-dil ka ilaaj ho kis se

yuun masiha hua kare koi

bevafa gar kahun to kahte hain

kya har ik se vafa kare koi

jaae gar jaan to sau hain tadbiren

jaae gar dil to kya kare koi

koi apni khata to ho maalum

uzr kis baat ka kare koi

dil ka kuchh haal hi nahin khulta

gar maraz ho dava kare koi

kabhi main ne bhi kuchh kaha tum se

na suno, kuchh kaha kare koi

tum se be-rahm par na dil aae

aur aae to kya kare koi

saikdon baten kah ke kahte hain

phir hamen kyuun khafa kare koi

koi kab tak na de javab tumhen

chupka kab tak suna kare koi

shikva us but ka har kisi se ‘nizam’

us se kah de khuda kare koi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

afeef-siraj

Khul Gaya Khalwat-e-Tanhai Ka Qissa Ai Hai

Ye Raat Dhalte Dhalte Rakh Gai Jawab Ke Liye

Jo Gham Ke Shoalon Se Bujh Gae the Hum Un Ke Daghon Ka Haar Lae

Ishq Maine Likh Dala Qaumiyat Ke KHane Mein

Dar Raha Hun Na KHauf Kha Raha Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet