
Ashu Mishra
us se ḳhvabon men samna hoga
hijr ka lutf do-guna hoga
kuchh ujale bhi saath rakh lena
dasht-e-duniya bahut ghana hoga
us ko kuchh der dekhne ke liye
pahle har or dekhna hoga
vo bhi duniya ke taur siikh gaya
ya.ani ab us ko chhoḌna hoga
us ne puchhi hai meri ḳhair-o-ḳhabar
ab mujhe jhuuT bolna hoga

Leave a Reply