us chand ko ham ne tira chehra nahin likkha
duniya ki kisi chiiz ko tujh sa nahin likha
zulfon ko tiri raat se tashbih nahin di
ankhon ko kabhi saghar-o-mina nahin likkha
dil ko na dikhaya kisi sahra se mumasil
ashkon ki ravani ko bhi dariya nahin likkha
kis baat pe barham ho zamane ke ḳhudao
ham ne kabhi apna bhi qasida nahin likkha
har lamha rahe sang-e-malamat ka nishana
ehsas ke zaḳhmon ka mudava nahin likkha
dil ki hi kisi baat ko tahrir na kar paa.e
likhne pe jab aa.e the to kya kya nahin likkha
Leave a Reply