umr bhar us pe main mara hi kiya
vo masiha bhi dam diya hi kiya
tha vo na-ashna-mizaj vale
aḳhirash ham ne ashna hi kiya
ashiqi ke siva bhi ham ne aur
jo kiya kaam so bura hi kiya
kar ga.e qais-o-koh-kan jo jo
ham ne us se bhi kuchh siva hi kiya
go bhala ya bura tha sher apna
sun ke yaron ne vah-va hi kiya
ik na ik us ki zulf-e-barham se
pech dil par mire paḌa hi kiya
shab-e-furqat men ‘muntazir’ har roz
sham.a sa dil mira jala hi kiya
Leave a Reply