Umid TuTi Hui KHak-Dan Mein Raushan Hai

umiid TuuTī huī ḳhāk-dāñ meñ raushan hai

koī charāġh to dil ke makāñ meñ raushan hai

sunahrī dhuup kā patta ḳhizāñ meñ raushan hai

ki aa.ina koī abr-e-ravāñ meñ raushan hai

junūñ hamārā makāñ lā-makāñ meñ raushan hai

hamārī gard-e-safar āsmāñ meñ raushan hai

qadam qadam pe hai ab zīna-e-zavāl to kyā

sar-e-ġhurūr hamārā jahāñ meñ raushan hai

kahāñ kī vahshateñ dīvār-o-bām-o-dar par haiñ

ajiib ḳhauf mire sehn-e-jāñ meñ raushan haiñ

‘munīr’ āñkhoñ meñ chiñgāriyāñ sī uḌne lagīñ

koī to chashma-e-reg-e-ravāñ meñ raushan hai

Leave a Comment