zaban ko tarjuman-e-gham banaun kis tarah ‘kaifi’
main barg-e-gul se angare uthaun kis tarah ‘kaifi’
samajh men kis ki aae raaz mere hichkichane ka
andhere men chala karta hai har navak zamane ka
nigah-e-mast ki allah-re maasum takiden
mujhe hai hukm saz-e-muflisi par gungunane ka
main saz-e-muflisi par gungunaun kis tarah ‘kaifi’
hansi bhi meri nauha hai mira naghma bhi matam hai
junun bhi mujh se barham hai khirad bhi mujh se barham hai
sulagta shauq pighalte valvale jalti tamannaen
zamin meri jahannam hai falak mera jahannam hai
khayali jannaton men baith jaun kis tarah ‘kaifi’
ye tauq-e-bandagi vo phuul si gardan maaz-allah
vo shahd-alud lab aur talkhi-e-shevan maaz-allah
kamal-e-husn aur ye inkisar-e-ishq are tauba
vo nazuk haath mera gosha-e-daman maaz-allah
jhatak kar gosha-e-daman chhudaun kis tarah ‘kaifi’
naved-e-subh sunta hi nahin rangin khvab us ka
ghira jaata hai zulmat-rez kirnon men shabab us ka
mujhe fursat nahin ranginiyon men duub jaane ki
use deta ye dhoka e’tibar-e-intikhab us ka
haqiqat mast aankhon ko dikhaun kis tarah ‘kaifi’
fana men huzn-dida zindagi zam hoti jaati hai
thaki nabzon ki khasta zarb maddham hoti jaati hai
ye armanon ka mausam ye miri girti hui sehhat
andheri raat aur lau shama ki kam hoti jaati hai
shabistan-e-vafa ko jagmagaun kis tarah ‘kaifi’
nirali jast karna hai nae raste pe chalna hai
nae shoalon men tapna hai nae sanche men dhalna hai
yahi do chaar sansen jo abhi mujh ko sambhale hain
inhin do chaar sanson men zamane ko badalna hai
inhen bhi sard giton men ganvaun kis tarah ‘kaifi’
pareshan qafile ne ab nishan manzil ka paaya hai
dhundlakon ke udhar ik surkh taara jhilmilaya hai
chale hain hanpte insan nai duniya basane ko
bahut aise hain in men jin ko khud main ne badhaya hai
main khud hi raste se laut aauun kis tarah ‘kaifi’
Leave a Reply