uljhan men ujala hai hairat men andhera hai
duniya tire angan men ye kaisa savera hai
sadiyon se hai roz-o-shab chehron ka safar jaari
lamhat ka a.ina tera hai na mera hai
fitrat ne ata ki hai ye be-sar-o-samani
dil ḳhana-ba-doshon ka ujḌa hua Dera hai
sanson se subuk ho kar baḌh jaate hain ham aage
ye paikar-e-ḳhaki to ik rain basera hai
kirnen gham-e-dauran ki thak jaati hain raste men
saaya tiri yadon ka is darja ghanera hai
sarmaya usulon ka rakh ghar men ‘hayat’ apne
har gaam yahan rahzan har moḌ luTera hai
Leave a Reply