ujala dasht-e-junun men baḌhana paḌta hai
kabhi kabhi hamen ḳhema jalana paḌta hai
ye masḳharon ko vazife yunhi nahin milte
ra.iis ḳhud nahin hanste hansana paḌta hai
baḌi ajiib ye majburiyan samaj ki hain
munafiqon se ta.alluq nibhana paḌta hai
alava rah-e-qalandar tamam duniya men
kisi bhi raah se guzro zamana paḌta hai
shikastagi men bhi kya shaan hai imarat ki
ki dekhne ko ise sar uThana paḌta hai
kisi ke aib chhupana savab hai lekin
kabhi kabhi koi parda uThana paḌta hai
ghazal ka sher to hota hai bas kisi ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunana paḌta hai
Leave a Reply