udhar maz.hab idhar insan ki fitrat ka taqaza hai
vo daman-e-mah-e-kan.an hai ye dast-e-zuleḳha hai
idhar teri mashiyyat hai udhar hikmat rasulon ki
ilahi aadmi ke baab men kya hukm hota hai
ye maana donon hi dhoke hain rindi ho ki darveshi
magar ye dekhna hai kaun sa rangin dhoka hai
khilauna to nihayat shoḳh o rangin hai tamaddun ka
muarrif main bhi huun lekin khilauna phir khilauna hai
mire aage to ab kuchh din se har aansu mohabbat ka
kanar-e-ab-e-ruknabad o gulgasht-e-musalla hai
mujhe malum hai jo kuchh tamanna hai rasulon ki
magar kya dar-haqiqat vo ḳhuda ki bhi tamanna hai
mashiyyat khelna zeba nahin meri basirat se
uTha le in khilaunon ko ye duniya hai vo uqba hai
Leave a Reply