TuuT jaata hai sitaron ka bharam raat ga.e
jagmagate hain tire naqsh-e-qadam raat ga.e
kya bata.en jo guzarti hai hamare dil par
yaad aate hain jab apnon ke sitam raat ga.e
gharq ho jaati hai jab niind men saari duniya
jaag uThte hain adibon ke qalam raat ga.e
roz aate hain sada de ke chale jaate hain
dil ke darvaze pe kuchh ahl-e-karam raat ga.e
rok leti hai tiri yaad sahara ban kar
Dagmagate hain agar mere qadam raat ga.e
jin ki ummid men ham din ko jiya karte hain
TuuT jaate hain vahi qaul-o-qasam raat ga.e
jin ki qismat men nahin din ka ujala ‘mansur’
un charaghon men jala karte hain ham raat ga.e
Leave a Reply