tumhare dekhne ko hasrat-e-hairat-faza Thahri
dil-e-mahzun se nikli dida-e-bismil men aa Thahri
tasavvur yaar ka tha samne aati qaza kyuun kar
sar-e-balin dam-e-murdan ba-shakl-e-dil-ruba Thahri
jhukaya bar-e-isyan ne hamare dast-e-hasrat ko
pahunch kar ta-ba-lab jis ki nadamat se dua Thahri
tumhari jumbish-e-abru se ghayal ho ga.e ashiq
ban aa.i jaan par un ki tumhari ik ada Thahri
usi andaz ne viran kiya hai mere pahlu ko
dil-e-ashiq ke lene ko in ankhon men ziya Thahri
saba ke tez jhonkon ne phiraya dar-ba-dar us ko
zamin par chain se kis dam ye ḳhak-e-mubtala Thahri
jalaya muskura kar aur ada se kar diya murda
kahin to ye jafa Thahri kisi ja par vafa Thahri
basan-e-ḳhun-e-dil chaspan hui hai tere talvon se
hamari dushman-e-jan ab ye shoḳhi-e-ziya Thahri
ilahi kya mire dilbar ne khola apne gesu ko
masham-e-jan men apne aa ke bu-e-jan-fiza Thahri
tumhari bad-dua se lutf milta hai mire dil ko
main ashiq huun tumhara vo mire haq men dua Thahri
farishton ne pukara ai ‘jamila’ jald hazir ho
ḳhuda ke ru-ba-ru aa kar saf-e-ahl-e-safa Thahri
Leave a Reply