tujh ko aghraz-e-jahan se mavara samjha tha main
paikar-e-ikhlas tasvir-e-vafa samjha tha main
jab liya nam-e-khuda kashti kinare lag gai
jaane kis kis bul-havas ko nakhuda samjha tha main
tha kisi zalim ka apna muddaa-e-zindagi
jis ko apni zindagi ka muddaa samjha tha main
tha kisi gum-karda-e-manzil ka naqsh-e-be-sabat
jis ko mir-e-karvan ka naqsh-e-pa samjha tha men
intiha-e-yas men ab kya kahun? kis se kahun?
ibtida-e-shauq men kis kis ko kya samjha tha main
aa gaya jab aa gaya un ko khayal-e-iltifat
apne shauq-e-dil ko ‘bazmi’ na-rasa samjha tha main
Leave a Reply