tu hai vaisa hi hu-ba-hu yaara
ḳhvab men tha jo ru-ba-ru yaara
dusra tu hai jis ne samjhi hai
meri be-rabt guftugu yaara
tujh ko sochun to phuul khilte hain
dil ki nagri men ku-ba-ku yaara
itne logon men bhi akele hain
ek main aur ek tu yaara
bas ye azm-e-safar javan rakhna
dhund chhaTni to hai kabhu yaara
aj-kal ratjage manati hai
tere ḳhvabon ki aarzu yaara
ek sahra hai pyaas ka ‘anvar’
tu mohabbat ki aabju yaara
Leave a Reply