jis ko chaho tum us ko bhar do
maah ko nuqra mehr ko zar do
pir-e-mughan se arz ye kar do
dakhkhin bakhsho agar saghar do
aah ye donon afat-e-jan hain
naz-o-ada laanat bar har do
ji jalta hai aah ke jhonko
sham-e-mohabbat ko gul kar do
qatra-fishani kya ai ankho
aise barso jal-thal bhar do
bulbulo sayyad aaj khafa hai
halq chhuri ke niche dhar do
jaan un ankhon se na bachegi
ye hai idhar tanha vo udhar do
dam ki amad-o-shud kya kahiye
zoaf ki raah se hain ye safar do
apna gala khud katte hain ham
dam lo chhuri ki tale be-dardo
jan-o-mal fida karne men
fikr-o-taraddud ai na-mardo
arz ye hai naqqash-e-azal se
hub ke naqsh men yaar ko ghar do
daulat-e-dil tum to hazir hai
khatt-e-ezar tamassuk kar do
shukr-guzar ba-har-surat hain
zahar hamen do ya shakkar do
ankhon men hai mavad-e-girya
‘bahr’ in phodon ko nashtar do
Leave a Reply