tu gaya lekin tiri yaden yahan par rah ga.iin
baad tere bas tiri baten zaban par rah ga.iin
pahle teri zaat ka paikar kahin par gum hua
aur na jaane phir tiri yaden kahan par rah ga.iin
aaj phir aisa hua jab soch kar tujh ko ai dost
asman takti nigahen asman par rah ga.iin
kya sitam hai kal talak jo samne ankhon ke thiin
aaj vo sab suraten vahm-o-guman par rah ga.iin
dastan-e-zindagi ke harf kab ke miT chuke
kuchh lakiren si faqat ab dastan par rah ga.iin
vaqt-e-aḳhir chal diye tanha safar ki aur ham
sab ki sab chizen jahan ki is jahan par rah ga.iin
Leave a Reply