Tu Ek Nam Hai Magar Sada-E-KHwab Ki Tarah

tū ek naam hai magar sadā-e-ḳhvāb kī tarah

maiñ ek harf huuñ magar nishān-e-āb kī tarah

mujhe samajh ki maiñ hī asl rāz-e-kā.enāt huuñ

dharā huuñ tere sāmne khulī kitāb kī tarah

maiñ koī giit huuñ magar sadā kī bandishoñ meñ huuñ

mire lahū meñ raag hai sam-e-azāb kī tarah

mirī panāh-gāh thī unhī ḳhalāoñ meñ kahīñ

maiñ sat.h-e-āb par rahā habāb-e-āb kī tarah

maiñ ‘asġhar’-e-hazīñ kabhī kisī ke dostoñ meñ thā

vo din bhī mujh ko yaad haiñ ḳhayāl-e-ḳhvāb kī tarah

Leave a Comment