• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tu Aapko Poshida O iKHfa Na Samajhna

Tu Aapko Poshida O iKHfa Na Samajhna

poet

tu aap ko poshida o iḳhfa na samajhna

main dekh raha huun mujhe andha na samajhna

kam sher-e-zhiyan se mira rutba na samajhna

kutta huun ali ka sag-e-duniya na samajhna

go zaar hua huun magar imdad-e-junun se

hai dev ki taqat mujhe murda na samajhna

ham-rah mire rahti hai har dam madad-e-ghaib

lakhon pe huun bhari mujhe tanha na samajhna

bazm-e-gham-e-shappir men jo chashm se nikle

har ashk ko tasbih ka ik daana samajhna

jo dil ki mubarra ho mohabbat se jahan ki

us dil ko dila yaar ka kashana samajhna

naama jo likha hai use rakh chhoḌiyo sahib

vo ḳhatt-e-ghulami hai navishta na samajhna

kafir huun na phunkun jo tire ka.aba men ai shaiḳh

naqus baghal men hai musalla na samajhna

didar dikha dijiye ghash aa.en to aa.en

ashiq huun main ashiq mujhe muusa na samajhna

rakhna na tavaqqo.a dil-e-nadan tu kisi se

us vaqt men apnon ko bhi begana samajhna

hasil nahin samjhane se naseh tu samajh to

kya samjhe bhala ye dil-e-divana samajhna

bahka hua ashiq nazar aa jaa.e jo koi

is chashm-e-fusun-saz ka divana samajhna

chahun to nikal ja.un abhi pech se tere

uljha mujhe o zulf-e-chalipa na samajhna

sar kaT ke jo qadmon pe gire rah-e-vafa men

ye bhi madad-e-himmat-e-mardana samajhna

sehhat tiri mumkin nahin sun rakh dil-e-bimar

ye gorkan aaya hai masiha na samajhna

har haal men ḳhursand huun tum ḳhush ho ki na-ḳhush

banda huun mujhe ashiq-e-shaida na samajhna

pilva de mai-e-hosh-ruba dekh mira zarf

saaqi jo bahak ja.un to divana samajhna

aa jaa.e koi Dher agar paaon ke niche

ai sham-ruḳho marqad-e-parvana samajhna

dekho kisi chehre pe jo gesu koi bal-dar

af.i hai use zulf-e-chalipa na samajhna

juuya hai agar rutba-e-ali ka jahan men

adna se bhi ḳhud ko kabhi aala na samajhna

ai ‘rind’ na Tikna kabhi arbab-e-vara.a paas

mil baiThna us se jise rindana samajhna

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

jigar-moradabadi

Agar Na Zohra-Jabinon Ke darmiyan Guzre

KHamosh honTon Se Sare Kalam Karne Lage

Wo Mere Samne Malbus Kya Badalne Laga

Mujhe Rifaton Ka KHumar Tha so Nahin Raha

Yun to Milne Ko Ek Zamana Mila

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet