
Sajjad Babar
to yuun kaho na dilon ka shikar karna hai
hava ke saath safar iḳhtiyar karna hai
baja ki zaḳhm na ginva.enge magar janan
vo phuul kitne hain jin ka shumar karna hai
ghurur-o-tamkanat-o-jahl se nibha lena
faraz-e-koh ko goya ghubar karna hai
vo bad-sarisht parinda hai us ka maslak hi
jo pak ga.e vo samar dagh-dar karna hai
use bhi raat ga.e be-charagh hona hai
hamen bhi chauk men kuchh intizar karna hai
vo ek ashk jo mandub dil ka kahla.e
vo ek jhiil jise abshar karna hai

Leave a Reply