tirgi ki apni zid hai jugnuon ki apni zid
Thokaron ki apni zid hai hauslon ki apni zid
kaun sa qissa suna.un aap ko mushkil ye hai
ansuon ki apni zid hai qahqahon ki apni zid
giit mere chuum a.enge tumhen ban kar saba
sarhadon ki apni zid hai hasraton ki apni zid
raston ne ḳhuub samjhaya ulajhna mat magar
rahzanon ki apni zid hai rahbaron ki apni zid
haa.e Tapka hai lahu phir aaj ke aḳhbar se
chaquon ki apni zid hai pasliyon ki apni zid
dhaḌkanon ki baat manun ya ki a.ine ki ab?
aarzu ki apni zid hai jhurriyon ki apni zid
Leave a Reply