tilism-e-gumbad-e-be-dar kisi pe va na hua
sharar to lapka magar shola-e-sada na hua
hamen zamane ne kya kya na aaine dikhlae
magar vo aks jo aina-ashna na hua
bayaz-e-jan men sabhi sher ḳhub-surat the
kisi bhi misra-e-rangin ka hashiya na hua
na jaane log Thaharte hain vaqt-e-sham kahan
hamen to ghar men bhi rukne ka hausla na hua
vo shahr aaj bhi mere lahu men shamil hai
vo jis se tark-e-ta.alluq ko ik zamana hua
yahi nahin ki sar-e-shab qayamaten TuTin
sahar ke vaqt bhi in bastiyon men kya na hua
main dasht-e-jan men bhaTak kar Thahar gaya ‘aḳhtar’
phir is ke baad mira koi rasta na hua
Leave a Reply