thokar se faqiron ki duniya ka bikhar jaana
khvahish ka laraz jaana asbab ka dar jaana
akash ke mathe pe jaadu ka sabab ye hai
taron ka chamak jaana chanda ka nikhar jaana
aa tujh ko bata duun main achchhi si ghazal kya hai
afkar ke sanche men lafzon ka utar jaana
iqrar-e-mohabbat ki nazuk si dalilen hain
ankhon men chamak aana zulfon ka sanvar jaana
be-rabt dalilen hain us shokh ki baton men
kuchh der talak kahna phir kah ke mukar jaana
duniya jise kahti hai vo nil-kamal tum ho
har jhiil ko jachta hai tira khil ke ubhar jaana
tum meri zarurat ho ‘alam’ yahi kahta hai
is baat ka matlab hai tire bin mira mar jaana
Leave a Reply