thami hui hai kahkashan apne haath se
ta.amir kar raha huun makan apne haath se
aaya huun vo zamin o shajar DhunDta hua
khinchi thi ik lakir jahan apne haath se
husn-e-bahar mujh ko mukammal nahin laga
main ne tarash li hai ḳhizan apne haath se
a.ine ka huzur samundar laga mujhe
kaaTa hai main ne sail-e-giran apne haath se
‘sarvat’ hadaf bahut hain javanan-e-shahr men
rakkho abhi na tiir o kaman apne haath se
Leave a Reply