tiri taharat ko shaikh kah tu kahan se laaen ik ab-e-ju ham
tavaf-e-dil ka hai qasd ham ko karen hain aansu se nit vazu ham
ba-tang aae hain zindagi se rahenge khauf-e-fana men kab tak
jo honi ho so shitab hove khade hain qatil ke ru-ba-ru ham
rakhe tu jab tak jahan men ya-rab tire karam se umiid ye hai
rahe na mutlaq talash-e-daulat karen na duniya ki justuju ham
khizan ne sab ki bahar kho di raha na sumbul bachi na raihan
gulon ko dekha hue pareshan chaman se nikle ba-rang-e-bu ham
gham-o-alam ne to kar rakha hai hamare chehre ko zard ‘joshish’
lahu ke aansu agar na roen na hon mohabbat men surkh-ru ham