tire huzur jo do-char din guzar aaya
vo faiz-yab hua aqibat sanvar aaya
nasib vaale hain va.ade vafa hue jin ke
hamare naam jo aaya to intizar aaya
chala to chalta gaya ik junun manzil men
agarche rasta pur-sang-o-ḳhar-dar aaya
main aaj aaya huun ḳhaas aap ke bulave par
agarche bazm men pahle bhi baar baar aaya
mira chaman raha sadiyon se amn ka mehvar
ye kaun aaya ki har samt intishar aaya
hamare ghar hi na aaya to phir bala se miri
hazar baar agar mausam-e-bahar aaya
chhuḌa ke haath gaya ‘nazr’-e-gul ke mausam men
kali ko ThanD lagi puchhne ko ḳhaar aaya
Leave a Reply