• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tere Aane Ka Ehtimal Raha

Tere Aane Ka Ehtimal Raha

tere aane ka ehtimal raha

marte marte yahi ḳhayal raha

gham tira dil se koi nikle hai

aah har-chand main nikal raha

hijr ke haath se hain sab rote

yaan hamesha kise visal raha

sham.a saan jalte hilte kaaTi umr

jab talak sar raha vabal raha

mil ga.e ḳhaak men hi tifl-e-sarishk

main to a.ankhon men garche paal raha

samajhiye is qadar na kiije ghurur

koi bhi husn la-zaval raha

tere dar se koi bhi Talta huun

mujh ko har-chand tu to Taal raha

dil na sambhla agarche main to use

apne maqdur tak sambhal raha

phir na kahna ‘asar’ na kuchh sunna

koi din gar yunhi jo haal raha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

aftab-shamsi

Pahli Tarikh

Yaqin-O-Ilm Ki Faza Na Shahr Mein Na Ganw Mein

poet

Dosti Mein Fasle Hote Nahin

ali-sardar-jafri

Khirad Walo Junun Walon Ke Viranon Mein Aa Jao

Na-KHush Gadai Se Na Wo Shahi Se KHush Hue

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet