tira be-mudda.a mange dua kya
maraz hai tandurusti men dava kya
kahen kya kya kiya hai ham ne kya kya
tujhe ai bevafa qadr-e-vafa kya
tabassum ho javab-e-mudda.a kya
kaha kya aap ne main ne suna kya
kaho aḳhir zara main bhi to sun luun
miri nisbat suna hai tum ne kya kya
tumhari mehrbani hai to sab hai
mira arman mera mudda.a kya
na dekhen vo to apna girya be-sud
na puchhen vo to apna mudda.a kya
chala tu bhi jo ai dil lene vaale
hamare paas phir baaqi raha kya
ada.en tum ko baḳhshin ham ko ankhen
karega aur bandon se ḳhuda kya
jo mujh ko aap hi dar se uTha den
koi rakkhe kisi ka aasra kya
samajhte ho jo apne-ap ko tum
use samjhega koi dusra kya
khilate ho qasam zabt-e-fughan par
zara socho maraz kya hai dava kya
mire ghar ko tum apna ghar na samjho
to aisi mehmani ka maza kya
safi’ ḳhud biini Thahre jin ka sheva
nazar aa.ega un ko dusra kya
Leave a Reply