tegh shamshir ya ḳhanjar ki zarurat kya hai
jang jab ḳhud se ho lashkar ki zarurat kya hai
jis ne samjha mujhe bahar se hi samjha sahab
kis ko ma.alum ki andar ki zarurat kya hai
gar tira qurb mayassar ho to ai jan-e-ada
sard raton men bhi bistar ki zarurat kya hai
bevafa.i ka tiri zaḳhm koi kam to nahin
choT deni ho to patthar ki zarurat kya hai
qaid rakhta hai jo tufan ko apne andar
aise qatre ko samundar ki zarurat kya hai
us ko sajda to zamin arsh sabhi karte hain
us ke qadmon ko mire sar ki zarurat kya hai
Leave a Reply