taskin-e-dil ka ye kya qarina
rokun jo naala phaT jaa.e siina
baḌhti umangen kya par banengi
hai kis hava men dil ka safina
hain kya muamma ye aag paani
piita huun aansu jalta hai siina
gham tujh ko pyara tu mujh ko pyari
dil ki tamanna nazuk hasina
aaj us ne aansu hans hans ke ponchhe
ḳhushki men ubhra Duuba safina
tariḳh dil ki ḳhud naqsh-e-dil hai
kha kha ke choTen chaTka nagina
TuuTa hua dil ulfat bhara tha
Dha kar imarat paaya dafina
hadd-e-ḳhirad se zaat us ki bartar
unchi hai manzil nicha hai ziina
tum ‘arzu’ ho tum ‘arzu’ ho
phir kaisi ranjish phir kaisa kiina
Leave a Reply