mujh se afsurda na ai josh-e-baharan hona
kaif men bhuul gaya chak-gareban hona
jab bikhar jaati hai zulf aur nikhar jaati hai
mujh ko jam.iyat-e-ḳhatir hai pareshan hona
zarra zarra hai tajalli se laḌa.e hue aankh
kis qayamat ki numa.ish hai ye pinhan hona
duur hain tujh se abhi nuur ke zarre har-su
ai miri ḳhaak zara aur pareshan hona
hasrat-e-did ne a.ina banaya dil ko
ain nazzara hai nazzare ka arman hona
husn har shai ko diya ishq mila har dil ko
taaki asan ho insan ka insan hona
ḳhuub hota hai numayan suḳhan-e-‘natiq’ se
misl-e-ma.ani tira har lafz men pinhan hona
Leave a Reply