tasavvur ke sahare yuun shab-e-gham ḳhatm ki main ne
jahan dil ki ḳhalish ubhri tumhen avaz di main ne
talab ki raah men kha kar shikast-e-agahi main ne
junun ki kamyabi par mubarakbad di main ne
dam-e-aḳhir bahut achchha kiya tashrif le aa.e
salam-e-ruḳhsatana ko pukara tha abhi main ne
zaban se jab na kuchh yara-e-sharh-e-arzu paaya
nigahon se huzur-e-husn aksar baat ki main ne
nasheman ko bhi ik partav qafas ka jaan kar ‘anvar’
basa-auqat ki hai bijliyon ki rahbari main ne
Leave a Reply