tark-e-ulfat ka irada bhi nahin
un se iz.har tamanna bhi nahin
vaqt kaTta hi na tha jis ke baghair
us ko muddat hui dekha bhi nahin
jaisi guzri hai ghanimat hai magar
zindagi tera bharosa bhi nahin
dil men rakhta hai bahut kuchh lekin
baat kahne ki vo kahta bhi nahin
ḳhuub saj-dhaj hai tumhari phir bhi
dekhna kaisa vo takta bhi nahin
ghuur kar dekhta rahta hai mujhe
main ne us ko kabhi dekha bhi nahin
baten karta hai musalsal ‘kausar’
roz milta hai shanasa bhi nahin
Leave a Reply