• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Targhib Aur Uske Baad

Targhib Aur Uske Baad

akhtar-ul-iman

targhib:

phir main kaam men lag jaunga aa fursat hai pyaar karen

nagin si bal khati uth aur meri god men aan machal

bhed-bhav ki basti men koi bhed-bhav ka naam na le

hasti par yuun chha ja badh kar sharminda ho jaae ajal

chhod ye laaj ka ghungat kab tak rahega in ankhon ke saath

chadhti raat hai dhalta suraj khadi khadi mat paanv mal

phir ye jaadu so jaega samay jo biita gahri niind

jo kuchh hai anmol hai ab tak ek ik lamha ek ik pal

bin chhui mitti ki khushbu us ka sundha sundha-pan

sab kuchh chhin jaega ik din ab bhi vaqt hai dekh sambhal

narm ragon men mithi mithi tiis jo ye uthti hai aaj

badhti mauj ka rela hai ik, tiis na uthegi kal

mast rasili ankhon se ye chhalki chhalki si ik shai

jis ne aaj apnaya is ko samjho us ke car saphal

main tere shoalon se khelun tu bhi meri aag se khel

main bhi teri niind churaun tu bhi meri ninden chhal

narm hava ke jhonkon hi se khulti hai phulon ki aankh

varna barson saath rahe hain thahra paani band kanval!

us ke baad:

bhigi raat ka nashsha tuuta duub gaya hai chadhta chand

thake thake hain aaza saare aur huiin palken bojhal

shabnam ka ras pi gaiin kirnen din ka rang chamak uttha

guunj hai bhanvron ki kanon men par hain ankhon se ojhal

husn aur ishq ki is duniya men kis ne kis ka saath diya

main apne raste jaata huun aur tu apni dagar par chal!

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Husn Ki Har Ada Pe Marta Hun

poet

Rang-E-Gul-E-Shagufta Hun Aab-E-Rukh-E-Chaman Hun Main

Sufi

Shaikh-Ji Tashrif Yun Bahr-e-Ziyarat Le Chale

poet

Roz Kahte The Kabhi Ghair Ke Ghar dekh Liya

parveen-fana-syed

Kya Ghazab Tu Ne Ai Bahaar Kiya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet