tanha.iyan jo raas na aa.en to kya karen
zaḳhmon ki anjuman na saja.en to kya karen
is daur-e-kashmakash men mohabbat ka naam bhi
danista log bhuul na jaa.en to kya karen
ik aasra to chahiye jiine ke vaste
halat ka fareb na kha.en to kya karen
dil bhi yahan bahut hain savalat bhi bahut
lekin koi javab na paa.en to kya karen
vaqif hain ham bhi ishq ke adab se magar
divana ḳhud hi log bana.en to kya karen
viran hai pahli shaam se maqtal ke raste
ghabra ke mai-kade ko na jaa.en to kya karen
dam ghuT rahe hain talḳh haqa.eq ke zahr se
ḳhvabon ki bastiyan na basa.en to kya karen
duniya ke har fareb ko ehsan maan kar
duniya ka hausla na baḌha.en to kya karen
tafsir-e-ka.enat to asan hai ‘ra.is’
apne hi dil ka raaz na paa.en to kya karen
Leave a Reply