tan-e-be-jan men ab raha kya hai
dekhiye marzi-e-ḳhuda kya hai
apni halat pe aaj rota hai
dil-e-divana ko hua kya hai
ai tabibo tumhen ḳhuda ki qasam
sach bata do ki majra kya hai
main ḳhatavar hi sahi lekin
sun to lo pahle majra kya hai
na khula aaj tak kisi par bhi
ḳhat-e-taqdir men likha kya hai
kyuun ye chup chup ga.e adam vaale
ya-ilahi ye majra kya hai
lab-e-zaḳhm-e-jigar to hanste hain
tu ne ai baḳhiya-gar siya kya hai
dil to kya jaan ishq men de di
ye na puchha ki mudda.a kya hai
uTh ke pichhle se aahon ka bharna
‘shauq’ tera ye mashghala kya hai
Leave a Reply