tamam-umr ki ghaflat ke ba.ad ḳhvab aaya
uTha jo parda-e-hasti mujhe hijab aaya
ajal-nasib tha sham-e-visal ḳhvab aaya
vo be-hijab hue to mujhe hijab aaya
bala hai ahd-e-javani se ḳhush na ho ai dil
sambhal ki umr ki duniya men inqalab aaya
baḌha.e hausle dariya-dili ne saaqi ki
zara se jaam men sau baar aftab aaya
koi sada nahin aati ki kaun hai kya hai
kahan bhaTak ke dil-e-ḳhanuman-ḳharab aaya
ummid-o-bim men rakkha tamam raat mujhe
kabhi naqab uTha.i kabhi hijab aaya
zamane valon ko pahchanne diya na kabhi
badal badal ke libas apne inqalab aaya
siva.e yaas na kuchh gumbad-e-falak se mila
sada bhi di to palaT kar vahi javab aaya
uḌa ke hosh hua ho ga.i tajalli-e-tur
sabhon se aankh churata hua hijab aaya
harif-e-mai nahin samjha to kyuun miri janib
lahu ke ghunT piye saghar-e-sharab aaya
haTe na apni tabi.at se husn-o-ishq kabhi
hazar baar zamane men inqalab aaya
suna.in kya tumhen nairang-e-ishq ka qissa
tamam-umr na ankhen khulin na ḳhvab aaya
khaTak vo dil men hi paida jo aaj tak na hui
samajh raha huun ki tifli ga.i shabab aaya
kafan pinha diya ‘saqib’ sanam-parasti ne
ḳhuda ke samne jaate hue hijab aaya
Leave a Reply