ta.alluq ke bahav ka muqaddam isti.ara kis jagah hai
mire gahre samundar teri vahshat ka kinara kis jagah hai
bata ai roz-o-shab ki be-sabati men tavazun rakhne vaale
jise kal TuTna hai aaj vo raushan sitara kis jagah hai
bata sarsabz kheton se guzarne vaale be-avaz dariya
achanak pech kha kar ruḳh badalne ka ishara kis jagah hai
basharat jis ke hone ki mujhe pahle qadam par di ga.i thi
vo gahre abr ka saaya masafat ka sahara kis jagah hai
safar karna hai aur andha musafir sochta hai kis se puchhe
sar-e-hasti andhere raston ka goshvara kis jagah hai
na sat.h-e-ab par hai aur na tah men is ke hain asar koi
bata ai bahr-e-gham kaghaz ki kashti ko utara kis jagah hai
Leave a Reply