takid karo zamzama-sanjan-e-chaman ko
bechain hon dil jin se vo naghme na alapo
ai ahl-e-vatan! khaao piyo shauq se lekin
khelo na kabhi sar se kabhi munh se na bolo
har tair-e-parran ke par-o-bal karo qainch
har banda-e-azad ko shishe men utaro
ban jaae rivayat na kahin halqa-e-zanjir
har rafta ko maujud ki mizan pe taulo
pursan-e-pareshani-e-insan nahin koi
qismat ki girah nakhun-e-tadbir se kholo
kyuun sarf-e-nazar karte ho anjam se apne
qudrat to taraf-dar kisi ki nahin logo!
ham to hain faqat dil-zada-e-zauq-e-tamasha
rum ham se abas karte ho ai zohra-nigaho!
ham chashm-e-sahar, dida-e-shab, dast-e-saba hain
parda to hai na-mahramon se lala-azaro!
vo qaum ki naam is ka musalman hai ‘khalid’
kya yaad hai shart antum-ul-aalaun ki us ko?
Leave a Reply