taghayyurat ke aalam men zindagani hai
shabab faani nazar faani husn faani hai
tamam alam-e-hasti pe hukmarani hai
mira jahan hai jab tak miri javani hai
main shaad huun to zamane men shadmani hai
sharab laao ki aalam tamam faani hai
tire ḳhayal se hai masti-e-nazar meri
tiri nigah se main ne sharab chhani hai
tira jamal fasanon men rang bharta hai
tire shabab se dilkash miri kahani hai
miri hayat men jab tu nahin to kuchh bhi nahin
tire baghair bhi kya ḳhak-e-zindagani hai
dil-e-fasurda men hoti hai zindagi paida
‘nushur’ jur.a-e-sahba bhi zindagani hai
Leave a Reply