tabib dekh ke mujh ko dava na kuchh bola
ḳhuda ko saunp do is ke siva na kuchh bola
raqib jast mira us ke aage karta hai
suno to yaaro koi ashna na kuchh bola
main jis se puchha nishan us pari ki manzil ka
vo mere munh ke ta.iin tak raha na kuchh bola
main arz ki nahin tum mujh se bolte ho kyuun
vo itna kahte hi sun ho gaya na kuchh bola
Leave a Reply