suuna pada hai dil ka makan aap ke bina
rah rah ke uth raha hai dhuan aap ke bina
yuun to khile hain phuul kai rang ke magar
phike pade hain donon jahan aap ke bina
ye soch ke main ghuum raha huun yahan vahan
rahat milegi dil ko kahan aap ke bina
bas is liye hi gaanv se main shahr aa basa
main kya karunga rah ke vahan aap ke bina
‘adarsh’ kah raha hai ki mat aao mere paas
barbad ho gaya huun yahan aap ke bina
Leave a Reply