sub.ha hai zunnar kyuun kaisi kahi
zahid-e-ayyar kyuun kaisi kahi
kaT ga.e aghyar kyuun kaisi kahi
chha ga.i har baar kyuun kaisi kahi
hain ye sab iqrar jhuTe ya nahin
kijiye iqrar kyuun kaisi kahi
ruThne se aap ka matlab ye hai
is ko aa.e pyaar kyuun kaisi kahi
kah diya main ne sahar hai jhuT-muT
ho ga.e bedar kyuun kaisi kahi
ek to kahte hain sad.ha bhaptiyan
aur phir israr kyuun kaisi kahi
naseha ye bahs divanon ke saath
aql ki hai maar kyuun kaisi kahi
ya ḳhafa the ya zara si baat par
ho ga.i bauchhar kyuun kaisi kahi
mujh se bai.at kar le tu bhi va.iza
haath laana yaar kyuun kaisi kahi
surma de kar dil ke lene ka hai qasd
aankh to kar chaar kyuun kaisi kahi
jaan de de chal ke dar par yaar ke
o dil-e-bimar kyuun kaisi kahi
kya hi bigḌe ho patte ki baat par
ho ga.e bezar kyuun kaisi kahi
ab to ‘haidar’ aur hi kuchh rang hain
manta huun yaar kyuun kaisi kahi
Leave a Reply