sidrat-ul-vasl ke saa.e ka talabgar huun main
tapish-e-hijr men barson se giraftar huun main
ja kisi aur ko ja dhamkiyan de marne ki
jab se main paida hua tab se sar-e-dar huun main
mera paigham bhala tegh kahan rokegi
hakim-e-vaqt ko batlao qalam-kar huun main
main ne to rab ko bhi puuja hai aur us yaar ko bhi
va.iza tu hi bata kis ka gunahgar huun main
manzil-e-zist kahan manzil-e-maqsud ‘vaqar’
ik surayya-e-mohabbat ka talabgar huun main
Leave a Reply