sher jab khulta hai khulte hain ma.ani kya kya
raste dete hain ik misra-e-sani kya kya
ḳhatm hoti hai samundar pe kabhi sahra men
raste chunti hai dariya ki ravani kya kya
pahle kirdar guzarta hai nazar se koi
moḌ leti hai phir ankhon men kahani kya kya
ashk ankhon men kasak dil men nazar men ummid
ishq deta hai mohabbat men nishani kya kya
jaan leta hai kabhi jaan bacha leta hai
fitraten rakhta hai dariyaon ka paani kya kya
us ki ankhon ki shararat kabhi honTon ka jamal
samne aati hain tasviren purani kya kya
Leave a Reply