sham-o-sahar yuun chupke chupke rona kya
kisi ki ḳhatir itna pagal hona kya
hosh ganva dete hain tum se mil kar log
kar dete ho tum bhi jadu-Tona kya
pyaar vo shai hai jis ka koi mol nahin
us ke aage chandi kya hai sona kya
jab ji chaha tum ne us ko toḌ diya
jab hi bolo dil tha mera khilauna kya
‘faiz’ yatim-o-bekas se ye puchhoge
maan ke anchal ka hota hai kona kya
Leave a Reply