shaam hone vaali thi jab vo mujh se bichhḌa tha zindagi ki rahon men
sub.h jab main jaaga tha vo jo mujh se bichhḌa tha so raha tha bahon men
mai-kade men sab ke sab jaam haath men le kar doston men baiThe the
duur log masjid men rab ko yaad karte the dil ki bargahon men
vo zamin ke shahzade tiir aur kaman le kar jangalon men phirte the
ik hiran jo zaḳhmi tha dauḌta hua aaya radhika ki bahon men
ham pale charaghon men raushni se rishta tha nuur ham men rahta tha
chand le ke vo nikle jin ko ham ne dekha tha zulmaton ki bahon men
auraton ki ankhon par kaale kaale chashme the sab ki sab barahana thiin
zahidon ne jab dekha sahilon ka ye manzar likh diya gunahon men
ham ne ahd-e-vusta ke saare taj-daron ki yadgaren dekhi hain
taaj sab men yakta hai aur shahjahan tanha saare badshahon men
Leave a Reply