shahar men rang hai na ḳhushbu hai
phir bhi charcha usi ka har-su hai
bah raha hai muhib sannaTa
pa-ba-gil sabza-e-lab-e-ju hai
ghup andhere ka jal raha hai charagh
raushni ka ajiib jaadu hai
be-dili hai nasib-e-dam-e-ḳhayal
aarzu ik ramida aahu hai
sina-e-sang par TheThurta hua
shaḳh-e-gul ka gudaz pahlu hai
shiddat-e-karb se niDhal nahin
aankh men jam gaya jo aansu hai
ek zarra nahin jo mil jaa.e
aur bapa mahshar-e-tagapu hai
dard ne baḌh ke ashkar kiya
maut par zindagi ka qaabu hai
mujh ko dekhen ‘nazar’ jo kahte hain
admi, aadmi ka daaru hai
Leave a Reply