shafaq ka nuur bhi rah rang-e-aftab men aa
nazar bacha ke kabhi vadi-e-gulab men aa
varaq varaq na pareshan rah havaon men
huruf-e-arz-e-tamanna hai to kitab men aa
chamakte zarron men bahta hua samundar hai
hai tujh ko shauq-e-tajassus to phir sarab men aa
ḳhutut hi ke vasile se main paḌhun tujh ko
kabhi saval ki surat kabhi javab men aa
mire gunah men shamil raha hai tu bhi ‘asad’
nibhane ahd-e-vafa ab mire azaab men aa
Leave a Reply