shabab aaya kisi but par fida hone ka vaqt aaya
miri duniya men bande ke ḳhuda hone ka vaqt aaya
unhen dekha to zahid ne kaha iman ki ye hai
ki ab insan ko sajda rava hone ka vaqt aaya
ḳhuda jaane ye hai auj-e-yaqin ya pasti-e-himmat
ḳhuda se kah raha huun na-ḳhuda hone ka vaqt aaya
hamen bhi aa paḌa hai doston se kaam kuchh ya.ani
hamare doston ke be-vafa hone ka vaqt aaya
naved-e-sar-bulandi di munajjim ne to main samjha
sagan-e-dahr ke aage ḳhuda hone ka vaqt aaya
Leave a Reply